Pages

Search SMS

Dukhi SMS



Dukhi SMS (Sad),  Dukhi Ghazal


“Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi …
Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi…
Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k…
Meri kisi saada par woh thehra he nahi…
khuda se jholi pehla kay manga tha usay …
Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi…
Har aik se pucha sabab us kay na milne ka …
Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi…!!



Ek Muhabbat Hai Or Uski ek Nishani Hy
Ek Dil Hai Jaise Koi Haweli Purani Hy
Safar Raat Ka Hai or Raat Bhi Tufani Hai
Ibteda_e_Ishq Se Inteha_e_Ishq Tak
Main Hi Thi Bewafa Or
Main Ne Hi Wafa Nibhani Hai,
Ye Intezar Khatam Kyun Nahi Hota Kisi
Se Poocho
Kya koi manzil mera muqadar hai ya
yehi meri adhori kahani hai.?


Wo Pyar Ka Sabot Dikhaya
Karta Tha
Ansu Baha Kr Humein Manaya
Karta Tha
Yay Zindage Sirf Tum Sy
Wabasta Hy.
Aksar Yay Bat Humein Bataya
Karta Tha
Us Ki Baton Mein Kuch Aisa
Asar Tha,
Main Barish K Bina Hi Bheeg
Jaya Karta Tha,
Sone Ki Fursat Ksie Thi.
Wo Humein Sari Rat Jagaya
Karta Tha,
Becheni Jb Had Sy Bhar Jati
Thi,
Wo Jee Bhar K Gale Lagaya
Karta Tha.
Wo Itni Muhabat Karne Wala
Badal Gaya.
Jo Her Bat Par Meri Qasam
Khaya Karta Tha..


Kabhi Mehrban Tha Tu
Kabhi Anjan Tha,
Mera Weham Tha Ya Wo
Ya Mera Guman Tha,
De Kr Zakhm Wo
Marham Rkhta Tha,
Ban Raha Tha Yay
Waqi Itna Nadan Tha,
Mujh Sy Bichr Gaya
Tha Wo 1 Raat,
Wo Shaks Jo Meri
Pehchan Tha,
Kash K Wo Mil Jata
Hum Ko Humdam,
Kitna Es Dil Ko Es
Baat Ka Arman Tha,
KHUDA Ko Chahty To
Kuch Mil Jata,
Hum Ny Chaha Tha Jise
Wo Tu 1 Insan Tha.



Na Milta Gham To Barbadi
K Afsany Kahaan Jaty,
Ager Dunya Chaman Hoti
To Veerany Kahaan Jaty,
Chalo Acha Howa Apnoon
Mein Koi Ghair To Nikla,
Sab Hoty Ager Apny To
Begany Kahaan Jaty,
Tumhi Ny Gham Ki Dolat
Di… Bara Ehsan Fermaya,
Werna Hum Yeh Apne Haath
Phelany Kahaan Jaty.,.


* Usy Bana Kr Ghazal Mein
Subh-o-Sham Likhta Raha
Haqeeqat Ki Her Gari Mein
Usy SALAM Likhta Raha
Wo Meri MUHABAT Ko Mera
Junoon Samj Betha
Main NAAM-e-MUHABAT Ko
Bar BAr Likhta Raha
Kar Lo IQRAR-e-DIL Lagi
Muj Se Yay Kaha, Us Se
Main Ny
Ajab Shakhs Tha Muje He
BEWAFA Likhta Raha
Uski ARZU Yay Thi K
“BHUL JAO MUJE”
Main Her DIWAAR par
ISHQ Ki Intaha Likhta Raha
ZULM Sehan Hi Tu ISHQ Ki
MIRAAJ Hy
Wo Badnaam Krta Raha Main
NADAAN Likhta Raha.


Ab Keya Likhein Kagaz
Par Ab Likhne Ko Keya
Baqi Hy?
Ek Dil Tha Vo Tot Gaya
Ab Totne Ko Keya Baqi
Hy
Ek Shakhs Ko Humne Chaha
Tha ,Rait Pe Naqsh Banaya
Tha,
Vo Rait To Kb Ki Bikhr Gae
Vo Naqsh Kaha Ab Baqi Hain,
Hum Jin Ko Apni Nazmo Ka
Unwan Banaya Karty Thy
Lafzo Ka Bana K Taj Mehal
Kagaz Per Sajaya Karty Thy
Vo Hum Ko Akela Chor Gya
Sub Rishto Sy Moun Mor Gaya
Ab Rishty Sare Sonein Hain
Vo Pyar Kahan Ab Baqi Hy
Ab Keya Likhein Hum Kagaz
Par Ab Likhny Ko Keya Baki
Hy?



EK roz juda ho jaon ga,
Na jane kahan kho jaon ga,
Tum lakh pukaro gay muj ko,
Par lot k main na aon ga,
Jab atay jatay chehron mein,
Tum chehra mara na pao gay,
Takh har k din k kamo say,
Jab rat ko sony jao gay,
Dekho gy jab phone ko,
Pegham mara na pao gay,
Tab yaad tumhain main aon ga,
Per lot k main na aon ga.
Ek roz yay rishta chootay ga,
Dil itna zayada toty ga,
Phir koi na hum sy rothe ga,
Main na ankhein kholun ga,
Tum sy kabhi na bolun ga,
Akhir us din tum roo do gy,
Tum apna Dost Kho do gy.



Shaam e Gham Ki Qasam
Aaj GhamgEen Hain Hum
Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam
Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai
Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum
Shaam e Gham Kii Qasam
Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien
Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien
Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya
Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam
Shaam e Gham Ki Qasam
Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii
Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii
DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar
Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam
Shaam e Gham Ki Qasam.


Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko
Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko
Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko
Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko
Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko
Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko
Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko
Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko
Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko
Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko.



Koi Achi si “SAZA” do mujko,
Chalo aisa karo “BHOLA” do mujko,
Apne “DIL” me basi “TASVIR” meri
Aisa karo “JALA” do usko,
Meri “WAFA” pe agar “SHAK” hai tumko,
Tu phir “NAZAR” se “GIRA” do mujko,
Muddat hogai hai tere “HIJR” me “JAGTE” howe,
Apni “SANSO” ki “HARARAT” se “SULA” do mujko,
Kuch “TARAS” karo apne “DIWANE” par,
jaam na sahi “ZEHER” hi pila do mujko,
Tum se “BICHRON” tu “MoT” aa jai,
Dil ki “GEHRAYON”se aesi “Dua do mjko,,


Yahan pal pal jalna parta hai
Har rang mein dhalna parta hai
Har mor pe thokar lagti hai
Har haal mein chalna parta hai
Har dil ko samjhne ki khatir
Bas khud say larna parta hai
Kabhi khud ko khona parta hai
Kabhi chup k rona parta hai
Kabhi neend na aye phoolon pay
Kanton pay b sona parta hai
Kabhi mar k jeena parta hai
Kabhi jee k marna parta hai
Kabhi to khushiyan loat k ayen gi
Es aas pay jeena parta hai…!



Tha Bohat Khush Jo Bhula K MujKO,
Aaj Roya Galey Laga K MujKO,
Usny Pehla Sawal Ye Pocha,
Tum Ko Kaisa Laga Ganwa K Mujko?
Zindagi Ne To Azmaaya Hai,
Dekh Lo Tum B Aazma K Mujhko,
Usny Rasta Badal Liya Apna,
Pyar Ki Raah Par Chala K Mujhko,
Dey Gaya Umar Bhar K Aanso,
Jo Kbhi Hansta tha, Hansa K Mujko,
Ajeeb Shakhs Tha, Jatey Howey Wo,
Khud Bhi Roya Bohat Rula K Mujko,
Mujh Ko Pathar Bana K Kehta Hai,
“Jaan” Dekho Na Muskura K Mujhko.



“\”Kaho Woh ChanD Kaisa Tha???
Kaho Woh Dusht Kaisa Tha??
Jidher Sub Kuch Lutaa Aey
Jidher Aankhain Ganwaa Aey
Kaha, SelaaB Jaisa Tha,
Buhat Chaha k Buch Niklain Mager Sub Kuch Baha Aey
Kaho, Woh Hijr Kaisa Tha??
Kabhi Choo Ker Issay DaikhA
Tou Tum Nay Kiya Bhalaa Paya
Kaha, Bus AaG Jaisa Tha,
Ussay Choo Ker Tou Apni Rooh Ye Tann Mann Jala AeY
Kaho , Woh Wasal Kaisa Tha??
Tumhay Jub Choo Liya Is Nay
Tou Kiya Ahsaas Jaga ThA?
Kaha, Ik Rastay Jaisa
Jidher Say Bus Guzarna Tha,MakaaĆ¢€™n Lakin Bana Aey
Kaho, Woh Chand KaisA Tha??
Falak Say Jo Uter AAya!
Tumhari Aankh May Basnay
Kaha, Woh Khwab Jaisa Tha
Nahi Tabeer Thi Jis Ki, Ussay Ik Shub Sula AeY
Kaho Woh IshQ Kaisa Tha??
Bina Sochy Bina Samjhy
Bina Purkhay Kiya Tum Nay
Kaha, Titli K Rung Jaisa
Buhat Kacha Anokha Sa, Jabhi Usko Bhula Aey
Kaho Woh Naam Kaisa Tha??
Jissay SahraOon Aur Chanchal
Hawaon Per Likha Tum Nay
kaha, Bus MusamOon Jaisa,
Na Janay Kis Trha Kis Pal Kisi Row Main Mita Aey…




Ab kis se kahen or kon sune
jo haal tumhare baad huwa
Is dil ki jheel si aankhon
mein ik khuwab bohot barbad huwa
Ye hijar hawa bhi dushman hay
us naam ke saare rangon ki
Wo naam jo mere honton per
khushbu ki tarah aabad huwa
Us sheher ke kitne chehre thay
kuch yaad nahi sab bhool gaye
Ik shakhs kitabon jesa tha
wo shakhs zabani yaad huwa
Wo sab jhoote qasmein wadey thay
dil jin mein khush ho jata tha
Ab is se farq nahi parta na-shaad
huwa ya shaad huwa
Be-naam staish rehti thi in
gehri sanwli aankhon mein
Aisa to kabhi socha bhi na tha
dil ab jitna be-daad huwa

No comments:

Post a Comment